RE: Some pockets are bottomless when filled with public trust .
You are viewing a single comment's thread:
Bhai, aisa bol rahe ho.
Mere saath aisa bahut baar ho chuka hain meine ek baande ki madad ki thi jisse medicine ke liye paise chahiye the. Aur phir mein bar ke line mein lag gaya. Thode der baad wahi banda 3-4 logon ke peeche khada tha khambha lene. Meine khud usse 500 diya, aur apna plan barcardi se beer mein shift kar diya jo dimaag kharab hua naa uss time. 🤦♂️
Ek aur scam NGO ke naam par chal raha hain bhai. Ek Greenpeace tha, 😭 abhi inki harkatein dekh kar mujhe khud duniya jala dene ka mann karta hain.
Phir yahan Trichy mein ek aadmi khane ke liye paise maang raha tha to mere pass lunch parcel tha usse diya to mana kar diya. Bhai aabhi bolo kya hi kar sakte hai iss matter par.
Matlab itna thag liya ki abhi to geniune logo ko bhi help nahi kar raha mein.
@bhattg bhai udha devbhoomi mein bhi yahi haal hain ki logon mein thodi insaniyat bachi hain..
Bhai zamana Badal gya....kar bhala hoye bhla sirf ek kkahawat reh gya Hai. U cant trust anyone...
Bhai, but aise chod bhi to nahi sakte naa. Dil mein dukh rah jata hain kabhi kabhi
Bhai avoid looking at them...I simply started avoiding them...kaliyuga hai
Bhai, shayad na help karna bhi kalyug ka aagaman ho? But samjh aata hai. 😕
It's a sad world we live in.